Jo Chahti Duniya Hai | Shaharyaar | जो चाहती दुनिया है

जो चाहती दुनिया है वो मुझ से नहीं होगा
समझौता कोई ख़्वाब के बदले नहीं होगा

अब रात की दीवार को ढाना है ज़रूरी
ये काम मगर मुझ से अकेले नहीं होगा

ख़ुश-फ़हमी अभी तक थी यही कार-ए-जुनूँ में
जो मैं नहीं कर पाया किसी से नहीं होगा

तदबीर नई सोच कोई ऐ दिल-ए-सादा
माइल-ब-करम तुझ पे वो ऐसे नहीं होगा

बे-नाम से इक ख़ौफ़ से दिल क्यूँ है परेशाँ
जब तय है कि कुछ वक़्त से पहले नहीं होगा

Jo Chahti Duniya Hai - English Font


jo chāhtī duniyā hai vo mujh se nahīñ hogā
samjhautā koī ḳhvāb ke badle nahīñ hogā

ab raat kī dīvār ko Dhānā hai zarūrī
ye kaam magar mujh se akele nahīñ hogā

ḳhush-fahmī abhī tak thī yahī kār-e-junūñ meñ
jo maiñ nahīñ kar paayā kisī se nahīñ hogā

tadbīr na.ī soch koī ai dil-e-sāda
mā.il-ba-karam tujh pe vo aise nahīñ hogā

be-nām se ik ḳhauf se dil kyuuñ hai pareshāñ
jab tai hai ki kuchh vaqt se pahle nahīñ hogā 

Post a Comment

0 Comments